
Lyrics
- Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhun
- Akhri Waqt Me Kya Raunaq E Duniya Dekhun
- Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhun
- Aqibat Meri Sawar Jaye Jo Taiba Dekhun
- Dast-e-imroz Me Aaina-e- Farda Dekhun
- Jaliyan Dekhun Ke Deewar-o-dar-o-baam-e-Haram
- Apni Ma’azoor Nigahon Se Main Kya Kya Dekhun
- Main Kahan Hoon Ye Samajh Lun To Uthaun Nazren
- Dil Zara Sambhle To Main Janib-e-khazra Dekhun
- Maine Jin Ankhon Se Dekha Hai Kabhi Shahr-e-nabi
- Aur In Ankhon Se Ab Kya Koi Jalwa Dekhun
- Mere Maula Meri Ankhen Mujhe Wapas Kar De
- Take Is Baar Main Jee Bhar Ke Madina Dekhun
- Jin Gali Kunchon Me Guzre Hon Kabhi Mere Huzoor
- In Me Ta-hadde Nazar Naqsh-e- Kafe Paa Dekhun
- Take Ankhon Ka Bhi Ehsaan Uthana Na Pare
- Qalb Khud Aaenah Ban Jaye Mai Itna Dekhun
- Kaash iqbal Yunhi Umar Basar Ho Meri
- Subah Kaabe Me Ho Aur Sham Ko Taiba Dekhun
- Apni Be Noor Nigahon Se Mai Kya Kya Dekhun
- Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhun
These lyrics aren’t timed to the recitation yet.
Comments
Sign in to read the conversation and share your thoughts.
Sign in