Lyrics
- Main banda-e-aasi hoon, khataa-kaar hoon, Maula

- Lekin teri rahmat ka talabgaar hoon, Maula
- Main banda-e-aasi hoon...
- Waabasta hai ummeed meri tere karam se

- Tera hoon, faqat tera...
- Tera hoon, faqat tera parastaar hoon, Maula
- Main banda-e-aasi hoon, khataa-kaar hoon, Maula
- Main banda-e-aasi hoon...
- Baahar ke ujaale mujhe kya raah sujhaayein

- Andar ke andheron mein...
- Andar ke andheron mein giraftaar hoon, Maula
- Main banda-e-aasi hoon, khataa-kaar hoon, Maula
- Lekin teri rahmat ka talabgaar hoon, Maula
- Main banda-e-aasi hoon...
- Phir tu mere imaan ko tawaanaai ata kar

- Barson nahin, sadiyon se...
- Barson nahin, sadiyon se main bimaar hoon, Maula
- Main banda-e-aasi hoon, khataa-kaar hoon, Maula
- Main banda-e-aasi hoon...
- Ik tera ishaara ho aur aasaan ho mushkil

- Ik lahar uthe aur main us paar hoon, Maula
- Main banda-e-aasi hoon, khataa-kaar hoon, Maula
- Main banda-e-aasi hoon, khataa-kaar hoon, Maula
- Lekin teri rahmat ka talabgaar hoon, Maula
- Main banda-e-aasi hoon...
These lyrics aren’t timed to the recitation yet.
Comments
Sign in to read the conversation and share your thoughts.
Sign in