
Lyrics
- Allah mere Allah, Allah mere Allah...
- Ya khuda Ya khuda, Ya khuda Ya khuda...
- Meri qismat ka mere Khuda tu agar, door karde andhera to kya baat hai
- Hijr ki tund-o-tareek raaton ka ab, ho Haram mein savera to kya baat hai
- Mere honton pe har dam rahein gunjte, apne aaqa ki tareef ke zamzame
- Iske badle mujhe hashr aur qabr mein, rahmaton ne ho ghera to kya baat hai
- Rashk mere muqaddar pe karne lage, sab farishtey bhi hooren bhi ghilman bhi
- Kamli wale k kadmon mein yun jaa k main daal doon apna dera toh kya baat hai
- Ae Khuda jism par bazuon ki jagah, apni qudrat se tu par laga de mujhe
- Din ko udta phiroon gird-e-Kaabe ke shab, ho madine basera to kya baat hai
- Sabz gumbad ko mushtaq nazron se main, taktaki baandh kar aise takta rahoon
- Lab pe salle ala ka mere wird ho, dam nikal jaaye mera to kya baat hai
- Ae Khuda apne Mehboob-e-Barhaq ki tu khwaab mein hi ziyarat kara de mujhe
- Mustahiq to nahi main is aizaaz ka, fazl ho jaaye tera to kya baat hai
- Ab to jee mein hai ja kar wahin ja basoon, maut aaye to aaye wahin par mujhe
- Ho Madine ki galiyon ka is martaba, is tarah ka jo phera to kya baat hai
- Roz-e-mahshar karam yun ho salman par, jab pareshan khada ho woh meezan par
- Aa ke khud woh farishton se keh dein wahan, ye sana-khwan hai mera to kya baat hai
These lyrics aren’t timed to the recitation yet.
Comments
Sign in to read the conversation and share your thoughts.
Sign in