
Lyrics
- Mujhe furuqat mai rehkar phir woh mecca uaad aata hai
- Woh zam-zam yaad aata hai
- Woh qaba yaad aata hai
- Pehenker sirf doh kapde
- Mera woh chikthe phirna
- Woh koshish yad aati hai
- Woh naara yad aata hai
- Jaha jakar mai saar rakhta
- Jaha mai haath pehelatha
- Woh choukat yaad ati hai
- Woh parda yaad aata hai
- Kabhi woh daud kar chalna
- Kabhi ruk ruk ke rehjana
- Woh chalna yaad aata hai
- Woh naksha yaad aata hai
- Kabhi vehshat mai aakar phir
- Safa par jake chadjana
- Woh massah yaad aata hai
- Woh marva yaad aata hai
- Kabhi chakkar lagana
- Hajhi yonki saf par lad bhadkar
- Woh dakhe yaad aate hai
- Woh jaghda yaad aata hai
- Kabhi phir unse hatkar
- Dekhna qabe ko hasrat se
- Woh hasrat yaad aati hai
- Kabhi jaana menako aur kabhi maidane arafath ko
- Woh majma yaad aata hai
- Wo sehra yaad aata hai
- Woh patthar marna shaithan ko
- Thakbeer pad-pad kar
- Woh gogha yaad aata hai
- Woh sauda yaad aata hai
- Meena mai laut kar
- Qurbani karna meradumbhe ko
- Woh sunnat yaad aati hai
- Woh fidhiya yaad aata hai
- Meena se saar mundakar daud jana mera qabe ko
- Woh jyarath yaad aati hai
- Woh janaa yad aata hai
- Mena mai rehke ratho mai
- Duaaye mang na mera
- Woh nale yaad aate hai
- Woh giriya yaad aata hai
- Woh rukhsath hoke mera
- Dekhna qabe ko mud-mud kar
- Woh manzar yaad aata hai
- Woh jalwa yaad aata hai
- Mujhe furuqat mai rehkar phir
- Woh mecca yaad aata hai
These lyrics aren’t timed to the recitation yet.
Comments
Sign in to read the conversation and share your thoughts.
Sign in